Milaad sharif aur Qur’an
Huzoor ki zaat wa ausaaf wa unke haal wa aqwaal ke bayaan ko hi milaade paak kaha jaata hai,huzoor ki wiladat ki khushi manana ye sirf insaan ka hi khaassa nahin hai balki tamam khalqat unki wiladat ki khushi manati hai balki khud rabbe qaaynaat mere mustafa jaane rahmat ka milaad padhta hai,yahan quran ki sirf chand aaytein pesh karta hoon warna to poora quran hi mere aaqa ki shaan se bhara hua hai magar kuchh aankh ke andhe aur aql ke kodhiyon ko ye aaytein nahin dikhti aur wo log isko bhi shirk aur bidat kahte hain maaz ALLAH,hawala mulahza farmayen,
KANZUL IMAAN -Wahi hai jisne apna rasool hidayat aur sachche deen ke saath bheja
📚 Paara 10, surah tauba, aayat 33,
KANZUL IMAAN -Beshak tumhare paas tashrif laayen tumme se wo rasool jin par tumhara mashaqqat me padna giran hai tumhari bhalayi ke nihayat chahne waale musalmano par kamaal meharban
📚 Paara 11,surah tauba, aayat 128,
Pahli aayat me maula taala unhein bhejne ka ziqr kar raha hai aur bheja use jaata hai jo pahle se maujood ho matlab saaf hai ki mahboob pahle se hi aasman par ya arshe aazam par ya jahan bhi rub ne unhein rakha wo wahan maujood the,aur doosri aayat me unke tashrif laane ka aur unke ausaaf ka bhi bayaan farma raha hai,kya ye uske mahboob ka milaad ka bayaan nahin hai, kya wahabi khuda par bhi hukm lagayga,
KANZUL IMAAN -Beshak tumhare paas ALLAH ki taraf se ek noor aaya aur roushan kitab
📚 Paara 6,surah maayda,aayat 15,
Yahan noor se muraad huzoor hain aur kitab se murad qurane muqaddas hai,
KANZUL IMAAN -Aur yaad karo jab eesa bin mariyam ne kaha ……….aur un rasool ki basharat sunata hoon jo mere baad tashrif layenge unka naam AHMAD hai
📚 Paara 28,surah saff,aayat 6,
Is aayat me hazrat EESA alaihissalam mere aaqa ka milaad padh rahe hain,kya wahaabi unpar bhi hukm lagayga,
KANZUL IMAAN -Aur yaad karo jab ALLAH ne paigambaron se ahad liya.jo main tumko kitab aur hiqmat doon fir tashrif laayen tumhare paas wo rasool ki tumhari kitab ki tasdeeq farmayen to tum zaroor zaroor unpar imaan laana aur unki madad karna,kya tumne iqrar kiya aur uspar mera bhaari zimma liya,sabne arz ki humne iqrar kiya farmaya to ek doosre par gawaah ho jao aur main khud tumhare saath gawahon me hoon,to jo koi iske baad fire to wahi log faasik hain
📚 Paara 3, surah aale imran, aayat 81-82)
Ye aalame arwaah ka waaqiya hai jahan maula apne mahboob ki shaan bayaan karne ke liye apne tamam nabiyon ko ikattha kar liya yaani mahfile milaad saja li aur unse farma raha hai ki agar tumhare paas mera nabi tashrif laaye to tumhe sab kuchh chhodkar uski itteba karni hogi,aur aakhir ke jumle kya hi qayamat khez hain kya farma raha hai ki jo is ahad ko tode wo faasik hai
ALLAH ALLAH ye kaun kah raha hai hamara aur aapka RUB kah raha hai,kisse kah raha hai apne maasoom nabiyon se kah raha hai,kyun kah raha hai kyunki baat uske mahboob ki hai isliye kah raha hai
Aaj hum uske mahboob ka ziqr karen to hum mushrik
Mahfile milaad sajayen to hum mushrik
Bheed ikattha kar lein to hum mushrik
Aur RUB jo kar raha hai uska kya, kya Rab Taala par bhi Shirk Ka hukm lagaoge wahabiyo,
To be continued……….